Chahat to kaafi thi manaa krne ki prr tha nahi koi sahaara,
Chalna hi tha uss raste prr jisko Babul ne tha sawaara
Chaurahe beech laga tha mandap, duulha chadhke aaya tha ghodi
Chaand si dulhan bann, apni takdeer ki orr chall padi kaveri.Kya mere khud ke jeevan Parr nahi hoga mera adhikaar ?
Kya banke reh jaaungi mai kisi aur ki garima ka sawaal ?
Kya yahee ant hai unn sapno ka jinko dekh ke maine udna tha seekha ?
Kya ab kabhi nahi hoga meri takdeer ka savera ?
Kaee the sawaal, prr tha nahi koi jawaab !
Kavita ke shabdo ki tarah ulajh si gayee thi kaveri .

Sawaalo ke beech shuru hua nae ghar mein jeene ka naya savera
Shehed jaisa sabka vyavhaar dekh ke khul gaye dil ke uljhano ke taar
Shayad itna vyarth sochna tha hi bekar
Prr waqt ke saath iss shehed mein kuch vish sa ghulne lagaa
Zindagi ki sachaai ka nangaapan dheere dheere ubharne sa lagaKya bacche paida krna hi hai ek aurat ka kaam ?
Kya ghuunghat hi hai aurat ki izzat bachaane ka thekedaar?
Kya mariyaada ka arth hai chaar diwaari ke beech kaid ho jaana?
Kya pati devta hai jo utha sakta mere uupr haath ?
Kaee the sawaal, prr tha nahi koi jawaab !
Kavita ke shabdo ki tarah ualajh si gayee thi kaveri .

Saalo beet gaye, ab ye jeevan bann chuka tha kisi aur ka mohtaaj.
Chuuna to chaahti thi kaveri aasma prr ab vo fass gayee thi bediyo mein
Nikalna to chaahti thi inn bediyo se, Prr ab inn bediya bahut mazboot ho si gayeen theen…..
Chalchitra ki tarah zindagi bhi bann gayee thi khushi aur gamm ka ek mela.Kya isiliye paida hui thi mai, ki ghut ghut ke jeeke ek din marr jaaungi ?
Kya duusro ko khush krr krr ke, khud gamm sehti reh jaaungi ?
Kya yahee duniya ki neeti hai ? Kya yahee duniya ka vidhaan hai?
Kya aurat ek insaan nahi, ek gaali ke samaan hai?
Kaee the sawaal, prr tha nahi koi jawaab !
Kavita ke shabdo ki tarah ualajh si gayee thi kaveri .Bahut hua sammaan, ab waqt tha bagaawat ka.
Ghar ki dehleej laang ke duniya ko apni khud ki aakhon se dekhne ka
40 ki umar mein khud ki padhaai puuri krne ka Kaveri ne mann banaya.
Samaaj ko ye shauk raas na aaya, kaveri ka faisla bana hasi thitholi ka paatr
Prr duniya kya sochegi ? Uss soch ko ab bahut peeche chodd chuki thi kaveri.

Uthaaya kalam aur likh daala apni takdeer ka naya paath
Padh likh ke, khud ke kadmo pe khade hoke, krne lagi bahar jaake kaam.
Chaal mein aatmvishwaas tha, awaaz mein aatmsammman
Ye kaveri koi abhla nahi, hindustan ki aaj ki mahila ke ek chehra thi..Kya hrr aurat ko apne baare mein bhi sochna chaahiye ?
Khud ke astitva ko bhi mehetva dena chaahiye ?
Kya jeevan kaatna nahi jeena chaahiye ?
Kya nahi hai ye zindagi kisi aur ki, prr khud ki mauhtaj ?
Kae the sawal, ab the unke jawaab.
Kavita ke shabdo ki tarah mehek uthi thi kaveri.

Dedicated to all Indian Women !

Leave a reply to ARITRA NANDY Cancel reply